❤❤❤


Log kahte hain k tu ab bhi khafa hai mujh se,

Teri ankhon ne to kuch or kaha hai mujh se

 

❤❤❤


Tere Lafzon Mein Wo Tafseel Kahan,

Apni Aankhon Se Kaho Baat Krein 


❤❤❤


Khuda bachae teri mast mast ankhon se,

Farishta ho to bahak jaay aadmi kya hai 


❤❤❤ 


Khushyon ka Ehsaas deti hain Aankhein,

Pyar ka izhar karti hain Aankhein,

Yeh aankhein har pal Tumhari muntazir rehti hain kiun keh,

Tumhara deedar kiye bina be chain rehti hain Aankhein 


❤❤❤


Main Aane Wale Zamano Se Dar Raha Hun Faraz,

Ke Main Ne Dekhi Hain Aankhen Udas Logo Ki 


❤❤❤ 


Haseen teri Anhken haseen tere aansu,

Yahin Doob jaane ko jee chahta hai 


❤❤❤ 


Us Ki Aankhoon Main Nazar Aata Hai Saara Jahan Mujh Ko,

Afsos K Un Aankhoon Main Kabhi Khud Ko Nahi Dekha 


❤❤❤ 


Zabt Karti Hun Aansu'on Ko Toh Gham Rota Hai,

Chup Rehti Hun Toh Aankhon Mein Dard Hota Hai 


❤❤❤ 


Qiyamat khaiz hain tumhari Aankhein,

Tum aakhir khawab kis ky dekhty ho... 


❤❤❤ 


Aaj aankhon mein teri soorat hai,

Teri soorat ke sath guzra har pal Khoobsorat hai,

Parwah nahi kuch bhi kahe yeh zamana,

Bs mujhe is dunya se ziadah teri zaroorat hai 


❤❤❤ 


Duriyo Ki Parwah Na Kijiye,

Jab Dil Chahe Bula Lijye,

Hum Zyada Dur Nahi Aap Sey,

Bus Ankhon Ko Palko Se Mila Lijye 


❤❤❤ 


Nigahein bolti hain "Zaid",

Muhabbat paglon ki guftagu hai 


❤❤❤ 


Bahut Dur Magar Bahut Paas Rehte Ho,

Aankhon Se Dur Magar Dil Ke Paas Rehte Ho,

Mujhe Bas Itna Bataa Do Ae Dost,

Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho 


❤❤❤ 


Lafz Ishaare Kareinge Jaane Ka,

Per Tum Aankhen Parh Ke Ruk Jaana 


❤❤❤❤❤